top of page
Pencil

BLOG POST PAGE

Main Roll No. 14 C

By Darshan Sabalpara


Main Roll No. 14 C, IIFT Ki Khidkiyoon Se Baahar Dekhta Hoon ! Din, Hafto, Mahino Ko Yug Mai Badalte Dekhta Hoon Is Mitti Se Mere Sheher Ki Khushbu Aati Hai Yeh Dhup Mere Ghar Ki Thandi Chaaun Yaad Dilati Hai Yeh Baarish Mere Saavan Ke Joolon Ki Sang Laati Hai Yeh Sardi Mere Lorhi Ke Dil Ki Aag Sulagti Jaati Hai Woh Kehtey Hain Yeh Tera Ghar Nahi Phir Kyun Mere Ghar Jaisa Lagta Hai Woh Kehtey Hai Mai Us Jaisa Nahi Phir Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai Main Roll №14C, IIFT ki Deewaron Ke Paar Dekhta Hoon Sapno Ke Baadalon Se Utri Ek Nanhi Batch Ko Dekhta Hoon Kehti Hai Khud Ko 17–19 Aur Mujhko BR Bulaati Hai Hai Bilkul Begani Par Apno See Woh Lagti Hai Uski Sacchi Baton Se Phir Jeenay Ko Man Karta Hai Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Man Karta Hai Woh Kehtey Hain Ke Woh Meri Koi Nahi Hai Phir Kyun Woh Mere Liye Duniya Se Ladti Hai Woh Kehtey Hain Mai Us Jaisa Nahi Par Kyun Mujh Jaisa Woh Lagta Hai Main Roll №14C, IIFT Ki Khidkiyon Se Baahar Dekhta Hoon Apne Sapno Ke Rangon Mai Lipti Ek Purani Khwahish Ko Dekhta Hoon Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud Ke Khwaab Bhool Chuki Hai Woh Mere Irado Ko Buland Karke Apne Irado Ko Chor Chuki Hai Woh Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai Uske Liye Ek Aur Zindagi Phir Jeenay Ko Jee Karta Hai Woh Kehtay Hain Mera Ghar Uska Nahi Phir Kyun Acad Mein Woh Rehti Hai Woh Kehtay Hain Mai Us Jaisa Nahi Phir Kyun Mujh Jaisi Woh Lagti Hai Main Roll №14C, IIFT Ki Khidkiyon Se Baahir Dekhta Hoon​……..

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Darshan Sabalpara is arguably the most active candidate from the batch of 2017–19. He was the Senior Cell Coordinator of Socrates, The Strategy and Consulting Club at IIFT. A lifetime fan of the works of Ayn Rand, he believes in the evolved version of Rationality and Objectivity ~ Read, Think and Evolve!

6 views0 comments

Recent Posts

See All
bottom of page